Storyteller by Dushyant Singh
0 Favorites
Khushi hui , aap yaha aayein ! Main peshe se waise ek Kathakaar hu aur Naam Dushyant hai ! haan ye kahaniyaan zaroor Maine likhi hai par ab ye aapki hain! In kahaniyo ke zariye meri koshish bhi yahi rahegi ki , Khushi na sahi , to Sukoon to de saku ! Jazbaat ,Ummeed aur Sach likhne ka prayas raha hai , aur khair ishq ka tadka to hai hi ! To chaliye ek lambi saans ke saath is safar ki shuruat karte hain ! Aur haan main yahin hoo , saath , har wakt ! :)
Location:
United States
Description:

Language:
Hindi
Website:
https://sochcast.com
Episodes
GAJAR KA HALWA
1/23/2022
Ye kahani dil ke kaafi kareeb hai. Mujhe yaad hai , isey likhte wakt , is kahani ke kirdaaro ke saath kitna khush rehta tha main. Is kahani ne mujhe ladna sikhaya hai , zidd sikhai hai aur ye bhi sikhaya hai ki khushiyaan humein khud ke liye khud khojni padti hai! Yakeenan dekhiyega , is kahani ki mithas aapko muskuraane pe majboor kar degi. Aap bhi jab in kidaaro se milenge to apna sa lagega. To ab bina deri kiye chaliye milte hain Ravi aur uski duniya se!
Duration:00:06:25
CANVAS
1/23/2022
Ye kahani us wakt ki hai , jab main koi aur hua karta tha. Is kahani ko likhne mein mera koi bahut bada hissa nahi hai balki kisi aur ka hai . Is kahani ke zariye bas yahi batna chahunga ki , bhagwaan ke dar pe der hai par andher nahi hai . Ye kahani jaagti aankho ke sapno jaisi hai , Hai bhi aur nahi bhi ! Ye kahani us har ek insaan ke naam jo bas apne dil ki sunte hain .
Duration:00:10:31
BADI BAHU
1/23/2022
Ye amma ki kahani hai ! ab jaisi humari amma hain , waisi hi ye kahani bhi. Sundar , saral aur sahaj. Jab ishq ki talsh me duniya bhar me ghumna shuru kiya maine , tab samjh aaya ki meri life ki sabse badi love storyt o ghar me hi hai ! To ye kissa aisa hai ki bilkul apne ghar jaisa hai ! Ye kahani un anek koshisho ke naam , jo manzil pe pahuchne se pehle kahin ruki nahi !
Duration:00:05:18
BARISH
1/23/2022
Humare mulk mein Baarish ka Kaafi mahatv hai ! Kuch logo ke liye ye Zarurat ki tarah hoti hai to kuch logo ke liye ye ek khushmizaaz mahaul ka bahana ! Aur ye ek kahani inhi me se ek kisse pe hai ! Ye adarsh ki kahani hai! Is kahani mein aap hain , intezar hai , aur khair ishq to hai hi ! To Aaiye milte hain , Rimjhim aur Adarsh aur unki Baarish se :)
Duration:00:07:23